Aaine ab bahut
dhundhle ho chale hain
Apni pehchan se sabhi
Alhada ho chale hain
Vo dhoop jo band khidki par
Karti thi intezaar mera,
Arsa hua us se hum
Beparda ho chale hain.
Vo shaam jiska vaasta
Zara nhi tha humse,
Hum kyu usi ki bisaat ke
Mohre ho chale hain.
Vo bayaar jo pehle kabhi
Bujha jati thi aag ko,
Buut-e-mom usi me jalkar
Ab Khuda ho chale hain.
dhundhle ho chale hain
Apni pehchan se sabhi
Alhada ho chale hain
Vo dhoop jo band khidki par
Karti thi intezaar mera,
Arsa hua us se hum
Beparda ho chale hain.
Vo shaam jiska vaasta
Zara nhi tha humse,
Hum kyu usi ki bisaat ke
Mohre ho chale hain.
Vo bayaar jo pehle kabhi
Bujha jati thi aag ko,
Buut-e-mom usi me jalkar
Ab Khuda ho chale hain.