March 12, 2022



Har kahaani mein koe kahaani aur hai

Vo zindagii aur thi, ye zindgaani aur hai


Har shikwa samjhne ka dawa hai udhar 

Shikwon se juda kayi pareshani aur hai


Mili mujhe do zindagi dono hi do-rangi

Ik ki to gayi umar ik me jawaani aur hai


Poochha khud se to ye jawaab mila

Abhi samjhoge nhi abhi nadaani aur hai


Saans ko meri gar tu hi chalaata hai

Baki kitni bata ye ab aani jaani aur hai


Posted by .. Vik . at 6:18 PM

0 comments  

 
>