Hamaare ik diljale dost ne farmaaya kal raat...
ke 'un mohtarma' se anban ke baad...
bade azeeb-o-gareeb janaab ke haalat ho gaye hain--
-"Aur kya kahein, maan lijiye Taare nazar aa gaye hain..."
Ham kahne lage- Janaab, Haalaat zaraa bhi azeeb-o-gareeb nahii...
sab kuchh to ho rahaa hai is duniya ke chalan ke anuroop hi...
ke hamko ummeed na thi ki panchve darje mein padhi baat aap bhool jaayenge--
-"Jin raaton mein 'chaand' gaayab hoga, taare to nazar aayenge hi aayenge!!"
:P
February 14, 2011
Posted by ..
Vik
. at
10:17 PM
5
comments
February 8, 2011
Mere zehan mein
Aksar
ek bachcha aur ek vayask
der tak lada karte hain..
Aur, aisi ladaaiyon ke dauraan,
mere zehan-o-dil ko zakhmi hota dekh,
Vayask,
jo apne aap ko mera hitaishi samajhta hai,
(aur sach hi to samjhta hai),
garazne lagtaa hai
Bachche ki saalon-saal badhti manmaaniyon par.
Aur, karta hai udghoshnaa
-soojhaata hai nit taaze zakhmo se bachne ka upaay-
-sunaata hai nirnay-
"antar mein bachpan ke liye ab jagah nahii"
Aur, har baar,
sochne lagta hoon main,
ke, haan,
zehan-o-dil ke in zakhmon ka kaaran
ye bachpana
ye naadaaniyaan
ye manmaaniyan hi to hain.
Un chhano me, lekin,
ik aawaaz,
antarantar se aati hai
ke, jaao,
tijori mein rakho apna dil..
kal ka taaboot tumne aaj hi khareed liya.
Posted by ..
Vik
. at
11:31 PM
7
comments