Vo khayaal reh gaya uljha hi aaj bhi
Suljhaate huye jise kayi saal ho gaye
Na ye kashamkash nayi na hum naye
Naye magar fir bhi kayi bawaal ho gaye
Jaane faila jata hai ya simat raha ye shahar
Do lafzo.n pe yahaan chaar sawaal ho gaye
Kehte hum ab bhi wohi hain jo kehna chahein
Aur honge jo tere zaike ke pur-khyaal ho gaye