Aati hai kahaan teri yaad humein
Zabran hi laaya karte hain
Azab diwaane hain jo tujhko
Yaad kar karke bhulaaya karte hain
Tasveerein yoon to dhul gayii.n
Par lafzo.n mein kahii.n ghul gayii.n
Lafzo.n ko hum kaghaz pe rakh
Tanhaai mein sukhaaya karte hain
Zulf teri aawaara lahrein
Nain bhi to tere qaatil thahre
Tere nukso.n ki yoon fehrist bana
Ishq ko samjhaaya karte hain
Shauq-e-dil ka wo ik panna
Ukri jis pe teri tamanna
Chand lamhe hum uspe ruk kar
Aage badh jaaya karte hain..
July 25, 2009
Posted by ..
Vik
. at
6:24 PM
17
comments
Subscribe to:
Posts (Atom)