July 28, 2021


बहुत तो होते हैं चार दिन माना

अपने होते तो होती बात कुछ


[फ़िराक साहब तो पढ़ेंगे नहीं :D ]


Posted by .. Vik . at 1:21 AM

0 comments  

May 26, 2021


Version 1:

Tere na hone ka jo bhi Suboot rakhta hoo.n main

Kaise Usmein bhi tera wujood dhundh lete hain log!

.......

Version 2:

Kaise Usmein bhi Tera wujood dhundh lete hain log

- Tere na hone ka jo bhi suboot rakhta hoo.n main.


Which one sounds better?

Posted by .. Vik . at 3:39 PM

3 comments  

May 24, 2021


Hai puchhta bhi kaun tujhe zamaane mein -

Tanhaai fir bhi bada intezaar karaaya tune!

Posted by .. Vik . at 12:27 AM

2 comments  

March 8, 2021


Vo khayaal reh gaya uljha hi aaj bhi 
Suljhaate huye jise kayi saal ho gaye

Na ye kashamkash nayi na hum naye
Naye magar fir bhi kayi bawaal ho gaye

Jaane faila jata hai ya simat raha ye shahar
Do lafzo.n pe yahaan chaar sawaal ho gaye

Kehte hum ab bhi wohi hain jo kehna chahein 
Aur honge jo tere zaike ke pur-khyaal ho gaye

Posted by .. Vik . at 12:20 AM

1 comments  

 
>