January 28, 2007


Jabse mein haath mein jaam nahii.n leta
Dost kehte hain tu akl se kaam nahii.n leta

Mujhko jamaane ki hai parvaah bas itni
Kehta sab hun, bas.. uska naam nahii.n leta

Dabdabaai un aankho.n se dayaar na baha hota
Pehla vo katra agar main thaam nahii.n leta

Diljale aashiqo.n ki bastii mein rehta hun
Main haseeno.n se dua-o-salaam nahii.n leta


(Could somebody suggest a title for it?)

Posted by .. Vik . at 5:56 PM
Labels:

 

 
>